Monday, July 21, 2008

RASTEN

Raste to manzil ki taraf jaane ke liye hote hai lekin un raston ka kya jo beech me hi choot jate hai.
Kai raste hume bhi tai kiye lekin itna zaroor hai ki un rahon me phoolon ke saath kante jyada the aur dheere dheere hum kanton ko apna humsafar banate chale gaye . un kanton ki khasiyat pata hai , vo kabhi bhi aakar nahi chubhe aur jeena sikha gaye, taumr rahenge hum tere shukraguzar .
" kanton ko murjhane ka khauf nahi hota"

3 comments:

Pawan Kumar said...

Manu ji
Kya falsafa dikhta hai aapke lekhan me... Behad khoobsoorat sach hai safar me jitna maza fool dete hai usse jyada ehsaas kaante dete hjain. Safar khatm hone ke baad aap foolon ka narm ehsaas bhale hi bhool jaayen lekin kaante chubhan ka woh teekha ehsaas chod jaate hain ki kehna hi padata hai ke KAANTE KABHI MURJHAATE NAHI. kabhi mere blog ka safar bhi karen aamantran hai....

sumati said...

kabhi phoolon sa nikhar jana na aaya,
kabhi kanton se gujar jana na
aaya,
magar milaye dosti ko dushmani main,
humain vo kam kar jana na aaya,

labon pe kuchh,jigar main kuchh,
humen etna sanwar jana na aaya..

sumati. phoolon ki talash main yatri...khar milte jarahe hain

Unknown said...

wah